Interesting hidden features of windows



Hello freinds aaj mai apko PC ki kuch hidden tricks ke baare mein batane wala hu jo ki bahut interesting hai , i hope apko pasand aaye.friends ye tricks sabhi ko nahi pata hoti hai bas kuch logo ko hi pata hoti hai but mai aaj kuch trick ko explain karunga aaj mai apko 3 tricks bataunga jo ki bahut easy hai.ab mai apko tricks ke baare mein batata hu.

TRICK-1  PC mein apni guidebook kaise banate hain ?

Friends aap log soch rahe honge ki ye guidebook kya hai mai apko bataunga ki guidebook kya hai aur ise kaise banate hai.

 Guidebook kya hota hain ?

Friends jab aap net par kuch sikhne ke liye kuch search karte hai jaise ki Microsoft Word office kaise start karte hai uske baad bahut si websites ke titles khul kar aate hai aur usme different titles likhe rehte hai aur usme se aap koi ek open karte hai aur usme saare instruction likhe rehte hai ki Ms Word ko kaise open karte hai instructions  ko follow karke Ms Word open ho jata hai.mera kehne ka pura matlab ye hai ki kisi ki guidelines ka us karte hai.isi tarah aap bhi apni guidelines ki guidebook bana sakte hai.aap apne tricks ko guidebook mein bana kar dusro ki help bhi kar sakte hai ya apne ideas ki ek guidebook bana sakte hai.

Guidebook ka Original name kya hain ?

guidebook ka original name PSR hai jiski full form Problem Step Recorder hoti hai jiski help se aap apne steps record kar sakte hai.
Friends ye trick keval Windows 7 ya iske upar ke windows mein work karti hai iske niche ke windows mein ye kaam nahi karti hai.

Guidebook kaise banate hain ?

Guidebook banane ke liye mai apko kuch steps batata hu jise apko follow karna hai_

Step-1

 Apko sabse pehle Key ( WIN + R ) press karna hai jisse ek dilog box open hoga jiska naam RUN  hoga.

Step-2

Dilog box open hone ke baad apko PSR type karna hai search box mein or OK par click karna hai. OK karne par ek dilog box open hoga jiska name Problem Step Recorder hoga.

Step-3

Ab dilog box open hone ke baad apko dilog box mein Start par click karne hai aur dilog box ko minimize karna hai ab apki recording strart ho chuki hai ab jo kuch bhi karenge wo sab record ho kar ek guidebook ban jayegi.agar apke steps pure ho chuke hai aur apko recording rokni hai to jis dilog box ko apne minmize kiya hai use maximize karke Stop par click kar dijiye aur apki puri recording ek guidebook ki tarah ban jayegi.
 Is tarah se aap apni guidebook aasani se bana sakte hai.

TRICK-2  Bina name ka Folder kaise banate hain ?

Freinds second trick mein mai apko ye bataunga ki pc mein bina name ka folder kaise banate hai matlb ye hai ki ek aisa folder jiska koi nama hi na ho.Friends aise to bina name ka folder banana impossible hai but ek aisi trick hai jisse bina name ka folder aasani se bana sakte hai.Ab mai pako wo trick bata deta hu ki bina name ka folder kaise banate hai mai apko kuch steps batata hu jise apko follow karna hai.

Step-1

Apko jis folder ka name hata kar bina name ka folder banana hai us folder par Right Click kariye aur Rename option par click kariye aur sab kuch remove kar dijiye.

Step-2

Uske turant baad Code Alt+255 press kariye.press karne ke baad code activate ho jayega aur turant Enter key par click kar de.enter karte hi apka bina name ka folder ban jayega.

Is tarah aap kabhi bhi bina name ka foder bana sakte hai.

ANDROID MEIN BINA APP KI HELP SE VIDEO/PIC KAISE HIDE KARTE HAI ?

TRICK-3  Computer mein apni drive kaise banate hain ?

Friends bahut log ye chahte hai ki unke PC par unki khud ki Drive ho jime wo apna data rakh sake lekin unme se kuch logo ko pata nahi hota hai ki own drive kaise banate hai to friends aaj mai apko bataunga ki pc par apni own drive kaise banate hai.Mai kuch steps bata raha hu jise aap follow karke apni own drive bana sakte hai.

Step-1

Sabse pehle apko Control panel mein aana hai.aur Administrative tools par click karna hai.

Step-2

Iske baad apko Computer Management par click karna hai.

Step-3

Ab apko Disk Management par click karna hai aur ab apko apne pc ki saari drives dikhengi.apko jis drive se apni drive banani hai us drive par Right click kare.

Step-4

Right click karne par Shrink par click kare aur apne according boxes fill kar de or apply kar de.apply karne ke baad aapki Drive ban gayi hogi.aur aap jo kuch bhi chahe usme store kar skate hai.